Saturday, July 5, 2014

FAALNAMA 2:ABJD QAMRI K ADAD SE

Ye faalnama bhi bahot sahih jawab deta hai.baki 100% ilm to Allah ta,ala ka hi hai.aalimul goyub wahi hain.
Eski tarkeeb likhta hun.aap tajorba karaengay to hairat me parhay bina na rahaengay.main Amil SamarAli koshish ye hi karta hun ki aap tak mere tajorba shuda jo bhi amal hain ya naqsh hain ya koi bhi roohani shubay ki chiz wo pahochaon.
ab tarkeeb likh raha hun...
Kisi bhi urdu arbi ya farsi kitaab ko hath me lekar bismillah parh kar kahi se kholay.aur right side ka jo page hai uski awal satar ka pahla harf likhlay.esi tarha usi page ki aakhri satar(line)ka akhri harf likhlay.phir dusra safah(page) kahin se kholay aur esi tarha satar awal ka awal harf w akhri satar ka akhri harf likhlay.
Esi tarha 7 martba ye amal karay.yani 7martba safah kholay jaen aur harf awal w aakhir likhnay hai.aapkay paas ye 14 huroof hongay.en 14 huroof k aadad abjad se nikal kar aur meazan(total) karay.aur esay 7 par taqseem karo.jo baki bachay uska hal essay dekhay...koi baat daryaft karni ho to aap mujay mail kar saktay hain...haziraat92@gmail.com


Agar baki
1 rahay to
Sawal safar(travel)ka hai,safar kijiye.ibtida me naqaami ya mayoosi ya na-umeedi takleef nuqsan shayid ho magar dil shiksta aur mayoos na hon.akhir kar kamyabi aur faeda hoga.

2 baki rahay to
Sawal tarqqi ka hai,jismay tijarat mulazimat qarz wagaira shamil hai.abhi kamyabi me dair hai.es maqsad ko pura honay me 7 mahinay ki dair hai magar kamyabi milaygi.

3
baki rahay to sawal mulazimat ka hai jo jald milaygi.agar hasb e mansha es waqt na milay jo milay manzoor karlay.tarqqi jald ho jaegi.

4
Baki rahay to
Sawal bimari ka hai ibtida me elaj galat hua aur ab bhi sahih nahin hai.elaj tabdil karo.bimari to khatray ki hai magar khuda par bharosa karay.shifa ho jaegi.

5
Baki rahay to
Sawal shadi ka hai.
Us me ziada dair nahin hai.anqareeb kamyabi hogi.aor koshish karay.

6
Bache to
Sawal muqdma ka hai.aapki taraf se koshish me kami hai.samnay wala ziada koshish kar raha hai.aap koshish ziada karay.magar apki kamyabi me khatra zaroor hai.

Agar baki
7 rahay to
Sawal aulad ka hai kisi bimari ki wajah se rukawat hai,khud aap me nuqsani hai ya biwi me.elaj karwaon aulad hogi.