Sunday, January 25, 2015

ILHAAMI FAALNAAMA:ASMA UL HUSNA

 es blog ko aap sabhi kaafi pasand farma rahay hain esko dekhtay es blog readers k naam ek aur faalnaama pesh kar raha hun.ummid hain essay meray murshid k maqsad ko faeda hoga yani uloom makhfi se mushibatzadon ki madad farmana.har ek chiz aasani se samjanay ki koshish ki hain aur aap bagaor parhay aur khud ka aur dusron ka bhala karay...!



Ab main es faalnaama ka aasan tareeqa likh raha hun.aur main khub esi
tareeqay se mustfiz hota raha hun.
Talib k aadad m, walida +Maqsad mukhtsar + 161[یا علیمُ]
En sab ki meazan hasil karay aur es majmua e aadad ko 99 se taqseem
karay aakhir me jo bachay ussay zail me diya hui Asma ul Husna ki
fahrist me se dekhay ki kaun sa ism aata hain.jo bhi asma aaen usay
likh lay aur uskay mutabiq faal bhi samjay aur rozana aapnay jo majmua
hasil kiya tha uskay mutabiq muqrrar waqt pe parha karay.insha Allah
wo kaam 40 din k andar andar ho jaega.
Jaisay kisi k aadad m,walida 209+maqsad mulazimat 518+161=888,
888/99=8[96] aakhir me 96 bachta hain to fahrist me 96 wa ism “96
الباقي The Everlasting One Al-Baqi” hain.
Faal Baqi ke maana se ye hain ki jis chiz ko chahta hain wo hasil hogo
aur daemi rahaegi insha Allah.wallahu aalam,esi tarha aap apnay maqsad ka

faal asma k ma'ana ko dekh kar andaza kar saktay hain.


Ab es misaal me chahiye ki rozana 888 martba 11-11 durood e pak k sath ek waqt
muqrrar karkay ya Baqi parha karay aur maqsad ki dua mangay.insha
Allah bahot jald maqsad hasil hoga.

Esi tarha kisi ka shadi ka mas’ala hain to shadi k adad shamil kiye
jaen aur kisi ka maali taraqqi ka hain to wo shamil kiya jaen aur koi
taraqqi ohda chahta hain to taraqqi ohda k aadad shamil kiya jaen.ab
aagay aapkay ilm aur tajorba ka estemal kariye aur dekhiye.mujay jo
bataana tha wo bata diya hain.

*Agar kisi maqsad k liye aapko koi ism parhna hain to aap khud kar
rahay hain to sirf aapka naam liya jaen.walida k adad lenay ki
zaroorat nahi.
*image me mainay ye samjaya hain ki divide kaisay karna hain aur kaun
say adad bachatay hain jissay ism ko hasil karna hain.aksar members
calculator use kartay hain to usmay aakhir me jo riminder bachta hain
wo nahi aata.esliye aap khud hi apnay hath se taqseem karay aur jo
aakhir me jo[reminder] bachta hain ussay ism ka intkhab karay


#reminder k liye aap es caculator ko estemal kar saktay hain....
http://www.calculatorsoup.com/calculators/math/longdivision.php
AADAD NIKAL NE K LIYE ABJD QAMRI CHART YE HAIN.....

#AADAD CALCULATOR DOWNLOAD KARNAY K LIYE........
Aaj No Din - Adad Calculator
*ASMA UL HUSNA KI FAHRIST YE HAIN*
أسماء الله الحسنى

# Arabic English translation of 99 names of Allah

1 الله The Greatest Name Allah
2 الرحمن The All-Compassionate Ar-Rahman
3 الرحيم The All-Merciful Ar-Rahim
4 الملك The Absolute Ruler Al-Malik
5 القدوس The Pure One Al-Quddus
6 السلام The Source of Peace As-Salam
7 المؤمن The Inspirer of Faith Al-Mu'min
8 المهيمن The Guardian Al-Muhaymin
9 العزيز The Victorious Al-Aziz
10 الجبار The Compeller Al-Jabbar
11 المتكبر The Greatest Al-Mutakabbir
12 الخالق The Creator Al-Khaliq
13 البارئ The Maker of Order Al-Bari'
14 المصور The Shaper of Beauty Al-Musawwir
15 الغفار The Forgiving Al-Ghaffar
16 القهار The Subduer Al-Qahhar
17 الوهاب The Giver of All Al-Wahhab
18 الرزاق The Sustainer Ar-Razzaq
19 الفتاح The Opener Al-Fattah
20 العليم The Knower of All Al-`Alim
21 القابض The Constrictor Al-Qabid
22 الباسط The Reliever Al-Basit
23 الخافض The Abaser Al-Khafid
24 الرافع The Exalter Ar-Raafi
25 المعز The Bestower of Honors Al-Mu'izz
26 المذل The Humiliator Al-MuZill
27 السميع The Hearer of All As-Samee
28 البصير The Seer of All Al-Basir
29 الحكم The Judge Al-Hakam
30 العدل The Just Al-`Adl
31 اللطيف The Subtle One Al-Latif
32 الخبير The All-Aware Al-Khabir
33 الحليم The Forbearing Al-Halim
34 العظيم The Magnificent Al-Azim
35 الغفور The Forgiver and Hider of Faults Al-Ghafur
36 الشكور The Rewarder of Thankfulness Ash-Shakur
37 العلي The Highest Al-Ali
38 الكبير The Greatest Al-Kabir
39 الحفيظ The Preserver Al-Hafiz
40 المقيت The Nourisher Al-Muqit
41 الحسيب The Accounter Al-Hasib
42 الجليل The Mighty Al-Jalil
43 الكريم The Generous Al-Karim
44 الرقيب The Watchful One Ar-Raqib
45 المجيب The Responder to Prayer Al-Mujib
46 الواسع The All-Comprehending Al-Waasi
47 الحكيم The Perfectly Wise Al-Hakim
48 الودود The Loving One Al-Wadud
49 المجيد The Majestic One Al-Majid
50 الباعث The Resurrector Al-Ba'is
51 الشهيد The Witness Ash-Shahid
52 الحق The Truth Al-Haqq
53 الوكيل The Trustee Al-Wakil
54 القوى The Possessor of All Strength Al-Qawiyy
55 المتين The Forceful One Al-Matin
56 الولي The Governor Al-Waliyy
57 الحميد The Praised One Al-Hamid
58 المحصى The Appraiser Al-Muhsi
59 المبدئ The Originator Al-Mubdi'
60 المعيد The Restorer Al-Mu'id
61 المحيي The Giver of Life Al-Muhyi
62 المميت The Taker of Life Al-Mumit
63 الحي The Ever Living One Al-Hayy
64 القيوم The Self-Existing One Al-Qayyum
65 الواجد The Finder Al-Wajid
66 الماجد The Glorious Al-Majid
67 الواحد The One, the All Inclusive, The Indivisible Al-Wahid
68 الصمد The Satisfier of All Needs As-Samad
69 القادر The All Powerful Al-Qadir
70 المقتدر The Creator of All Power Al-Muqtadir
71 المقدم The Expediter Al-Muqaddim
72 المؤخر The Delayer Al-Mu'akhkhir
73 الأول The First Al-Awwal
74 الآخر The Last Al-Akhir
75 الظاهر The Manifest One Az-Zahir
76 الباطن The Hidden One Al-Batin
77 الوالي The Protecting Friend Al-Wali
78 المتعال The Supreme One Al-Muta'ali
79 البر The Doer of Good Al-Barr
80 التواب The Guide to Repentance At-Tawwab
81 المنتقم The Avenger Al-Muntaqim
82 العفو The Forgiver Al-'Afuww
83 الرؤوف The Clement Ar-Ra'uf
84 مالك الملك The Owner of All Malik-al-Mulk
85 ذو الجلال و الإكرام The Lord of Majesty and Bounty Zu-al-Jalal wa-al-Ikram
86 المقسط The Equitable One Al-Muqsit
87 الجامع The Gatherer Al-Jami'
88 الغني The Rich One Al-Ghani
89 المغني The Enricher Al-Mughni
90 المانع The Preventer of Harm Al-Mani'
91 الضار The Creator of The Harmful Ad-Darr
92 النافع The Creator of Good An-Nafi'
93 النور The Light An-Nur
94 الهادي The Guide Al-Hadi
95 البديع The Originator Al-Badi
96 الباقي The Everlasting One Al-Baqi
97 الوارث The Inheritor of All Al-Waaris
98 الرشيد The Righteous Teacher Ar-Rashid
99 الصبور The Patient One As-Saboor

Saturday, July 5, 2014

FAALNAMA 2:ABJD QAMRI K ADAD SE

Ye faalnama bhi bahot sahih jawab deta hai.baki 100% ilm to Allah ta,ala ka hi hai.aalimul goyub wahi hain.
Eski tarkeeb likhta hun.aap tajorba karaengay to hairat me parhay bina na rahaengay.main Amil SamarAli koshish ye hi karta hun ki aap tak mere tajorba shuda jo bhi amal hain ya naqsh hain ya koi bhi roohani shubay ki chiz wo pahochaon.
ab tarkeeb likh raha hun...
Kisi bhi urdu arbi ya farsi kitaab ko hath me lekar bismillah parh kar kahi se kholay.aur right side ka jo page hai uski awal satar ka pahla harf likhlay.esi tarha usi page ki aakhri satar(line)ka akhri harf likhlay.phir dusra safah(page) kahin se kholay aur esi tarha satar awal ka awal harf w akhri satar ka akhri harf likhlay.
Esi tarha 7 martba ye amal karay.yani 7martba safah kholay jaen aur harf awal w aakhir likhnay hai.aapkay paas ye 14 huroof hongay.en 14 huroof k aadad abjad se nikal kar aur meazan(total) karay.aur esay 7 par taqseem karo.jo baki bachay uska hal essay dekhay...koi baat daryaft karni ho to aap mujay mail kar saktay hain...haziraat92@gmail.com


Agar baki
1 rahay to
Sawal safar(travel)ka hai,safar kijiye.ibtida me naqaami ya mayoosi ya na-umeedi takleef nuqsan shayid ho magar dil shiksta aur mayoos na hon.akhir kar kamyabi aur faeda hoga.

2 baki rahay to
Sawal tarqqi ka hai,jismay tijarat mulazimat qarz wagaira shamil hai.abhi kamyabi me dair hai.es maqsad ko pura honay me 7 mahinay ki dair hai magar kamyabi milaygi.

3
baki rahay to sawal mulazimat ka hai jo jald milaygi.agar hasb e mansha es waqt na milay jo milay manzoor karlay.tarqqi jald ho jaegi.

4
Baki rahay to
Sawal bimari ka hai ibtida me elaj galat hua aur ab bhi sahih nahin hai.elaj tabdil karo.bimari to khatray ki hai magar khuda par bharosa karay.shifa ho jaegi.

5
Baki rahay to
Sawal shadi ka hai.
Us me ziada dair nahin hai.anqareeb kamyabi hogi.aor koshish karay.

6
Bache to
Sawal muqdma ka hai.aapki taraf se koshish me kami hai.samnay wala ziada koshish kar raha hai.aap koshish ziada karay.magar apki kamyabi me khatra zaroor hai.

Agar baki
7 rahay to
Sawal aulad ka hai kisi bimari ki wajah se rukawat hai,khud aap me nuqsani hai ya biwi me.elaj karwaon aulad hogi.


Thursday, June 5, 2014

MUJRRIB FALNAAMA

EK MUJJRIB FAALNAAMA:
Ye faalnaama bahot hi pyara hain,aksar bahot sahih rahnumayi karta hain.jo hazarat dekhna chahtay ho wo bawuzu ho kar su.fateha ya aaytul kurshi ya jo bhi uska pyara wird ho wo parhay aur Allah se rahnumayi ki dua karay aur apnay dil me maqsad ko yad kartay eksuyi se ankhay band karkay faalnaama pe angusht e shahadat rakhay aur ab dekhay ki kis hindsay pe ungli parhi hain.jo hindsa ho uski us hindsay ka mazmoon zail se parhlay aur jahan til ka makam bataya hain wahan dekhlay taki yakeen ho jaen.
faal kisi ek maqsad k liye ek bar hi dekha jana chahiye aur ek maqsad k liye kam se kam 3 maah tak dubara nahi dekhna chahiye aur mazak k taur pe nahi dekhna chahiye.

FAALNAMA:
1.Jo kuch maqsad rakhta hain bar aaega,koi shakhs muwafiqatdar ho jaega,jissay faeda rozgar hoga,agar yakeen na aaen to upar munh k tujay til hain,

2.es faal se maqsad hasil hoga,bhadon se khushiyon ki baharay aawaegi,rozgar bhi acha hoga,yakeen na ho to kaan par til hain.
3.bhai bahan aur ladko se khushi hasil hogi,kuch zameen se pawega.aur din khushi kanwar se aaegi.agar yakeen na ho to bhawon k til hain.
4.es faal se zahir hain ki matlab hargiz hasil na hoga.na haq baat khota hain.tu dushman k kahnay par khyal mat kar wo tuj par ghalib hain.agar yakeen na aaen to pahlu par til hain.
5.es faal se maloom hota hain ki rozgar pacchhim se ya dakkhan se thoray arsay me zahir hoga.aur matlab hasbay tere kahnay k jald hasil hoga,aur nek din aaega.yakeen na ho to hatheli ya pasli pe til hain.
6.es faal se maluum hota hain ki ladka kuch dinon me paida hoga.aur rozgar hasbay dil khwah irada dili hasil hoga.kisi se ladayi hogi.yakeen na ho to hath par til hain.
7.es fal se zahir hota hain ki kuch zamin se pawogay aur aurat bhi nek talay shirin sukhan taraf purb w utar se milay.irada dili hasil ho.agar yakeen na ho to shikam par til hain.
8.faal kahta hain ki matlab tera hal na hoga,aur din gardish k hain.jo kaam karay nuqsan pawayga.din khushi k kartak me aawaegay.agar yakeen na ho to zano par til hain.
9.es faal se maloom hua ki ladka paida hoga.aur rozgar ho jaen.dushman se khabardar ho.yakeen na ho to pairo par til hain.
10.es fal se maloom hua ki jo kuch chahata hain hasil hoga.dil tera khushi chahta hain.mah asaadh se ya maagh se bahot khushi hasil hogi.agar yakeen na ho to sinay par til hain.
11.es faal se maloom hua ki daulat hath aaegi.aur tarah tarah ki khushi dekhaega.agar yakeen na ho to rukhsar par til hain.
12.faal se maaloom hota hain ki jo kuch matlab dil me hain khilaf e aql hain.hargiz kabhi na hoga.ayyam nahoosat w gardish k hain.b,ad en ayyam me cheit se badal hoga.agar yakeen na ho to munh par til hain.
13.faal kahta hain ki tu ranj o gham me mubtila hain,ibadat e elahi kar taki jald aazad ho.yakeen na ho to teri sharm gah pe ya kareeb til hain.
14.faal batati hain ki ladka paida hoga,aurat nek talay junoob maghreeeb se milaegi.rozgar bhi chand maah me milaega.yakeen na ho to pusht par til hain.
15.es faal se maloom hota hain ki matlab tera hasil hoga.rozgar kisi k wasilay hasil hoga,chand roz me taraf maghreeb ya mashriq hasil hoga.ladka bhi paida hoga.yakeen na ho to teri kamar me til hain.
16.faal kahti hain ki sargardani hasil hain aur kuch hasil nahi.irada rozgar ka rakhta hain,hargeez 3 sal tak na hoga.
chahay jitna hath pair marlay.yakeen na ho to kamar par til hain.

17.faal kahti hain jo chahta hain hasil hoga.khushi maah asaadh ya faagun me aisy hogi ki fula na samaega.yakeen na ho to naaf par til hain.
18.faal se maloom hua ki farzand paida hoga.aurat muafiq hasil hogi aur rozgar chand roz me b,ad do maah mulk magreeb me hoga.yakeen na ho to munh par til hain.
* Es tarha aap apnay maqsad k baray me kuch andaza hasil kar saktay hain.
haziraat92@gmail.com
www.rohaniamliat.blogspot.com
www.rohanihaziraat.blogspot.com