Thursday, June 5, 2014

MUJRRIB FALNAAMA

EK MUJJRIB FAALNAAMA:
Ye faalnaama bahot hi pyara hain,aksar bahot sahih rahnumayi karta hain.jo hazarat dekhna chahtay ho wo bawuzu ho kar su.fateha ya aaytul kurshi ya jo bhi uska pyara wird ho wo parhay aur Allah se rahnumayi ki dua karay aur apnay dil me maqsad ko yad kartay eksuyi se ankhay band karkay faalnaama pe angusht e shahadat rakhay aur ab dekhay ki kis hindsay pe ungli parhi hain.jo hindsa ho uski us hindsay ka mazmoon zail se parhlay aur jahan til ka makam bataya hain wahan dekhlay taki yakeen ho jaen.
faal kisi ek maqsad k liye ek bar hi dekha jana chahiye aur ek maqsad k liye kam se kam 3 maah tak dubara nahi dekhna chahiye aur mazak k taur pe nahi dekhna chahiye.

FAALNAMA:
1.Jo kuch maqsad rakhta hain bar aaega,koi shakhs muwafiqatdar ho jaega,jissay faeda rozgar hoga,agar yakeen na aaen to upar munh k tujay til hain,

2.es faal se maqsad hasil hoga,bhadon se khushiyon ki baharay aawaegi,rozgar bhi acha hoga,yakeen na ho to kaan par til hain.
3.bhai bahan aur ladko se khushi hasil hogi,kuch zameen se pawega.aur din khushi kanwar se aaegi.agar yakeen na ho to bhawon k til hain.
4.es faal se zahir hain ki matlab hargiz hasil na hoga.na haq baat khota hain.tu dushman k kahnay par khyal mat kar wo tuj par ghalib hain.agar yakeen na aaen to pahlu par til hain.
5.es faal se maloom hota hain ki rozgar pacchhim se ya dakkhan se thoray arsay me zahir hoga.aur matlab hasbay tere kahnay k jald hasil hoga,aur nek din aaega.yakeen na ho to hatheli ya pasli pe til hain.
6.es faal se maluum hota hain ki ladka kuch dinon me paida hoga.aur rozgar hasbay dil khwah irada dili hasil hoga.kisi se ladayi hogi.yakeen na ho to hath par til hain.
7.es fal se zahir hota hain ki kuch zamin se pawogay aur aurat bhi nek talay shirin sukhan taraf purb w utar se milay.irada dili hasil ho.agar yakeen na ho to shikam par til hain.
8.faal kahta hain ki matlab tera hal na hoga,aur din gardish k hain.jo kaam karay nuqsan pawayga.din khushi k kartak me aawaegay.agar yakeen na ho to zano par til hain.
9.es faal se maloom hua ki ladka paida hoga.aur rozgar ho jaen.dushman se khabardar ho.yakeen na ho to pairo par til hain.
10.es fal se maloom hua ki jo kuch chahata hain hasil hoga.dil tera khushi chahta hain.mah asaadh se ya maagh se bahot khushi hasil hogi.agar yakeen na ho to sinay par til hain.
11.es faal se maloom hua ki daulat hath aaegi.aur tarah tarah ki khushi dekhaega.agar yakeen na ho to rukhsar par til hain.
12.faal se maaloom hota hain ki jo kuch matlab dil me hain khilaf e aql hain.hargiz kabhi na hoga.ayyam nahoosat w gardish k hain.b,ad en ayyam me cheit se badal hoga.agar yakeen na ho to munh par til hain.
13.faal kahta hain ki tu ranj o gham me mubtila hain,ibadat e elahi kar taki jald aazad ho.yakeen na ho to teri sharm gah pe ya kareeb til hain.
14.faal batati hain ki ladka paida hoga,aurat nek talay junoob maghreeeb se milaegi.rozgar bhi chand maah me milaega.yakeen na ho to pusht par til hain.
15.es faal se maloom hota hain ki matlab tera hasil hoga.rozgar kisi k wasilay hasil hoga,chand roz me taraf maghreeb ya mashriq hasil hoga.ladka bhi paida hoga.yakeen na ho to teri kamar me til hain.
16.faal kahti hain ki sargardani hasil hain aur kuch hasil nahi.irada rozgar ka rakhta hain,hargeez 3 sal tak na hoga.
chahay jitna hath pair marlay.yakeen na ho to kamar par til hain.

17.faal kahti hain jo chahta hain hasil hoga.khushi maah asaadh ya faagun me aisy hogi ki fula na samaega.yakeen na ho to naaf par til hain.
18.faal se maloom hua ki farzand paida hoga.aurat muafiq hasil hogi aur rozgar chand roz me b,ad do maah mulk magreeb me hoga.yakeen na ho to munh par til hain.
* Es tarha aap apnay maqsad k baray me kuch andaza hasil kar saktay hain.
haziraat92@gmail.com
www.rohaniamliat.blogspot.com
www.rohanihaziraat.blogspot.com

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.